Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul Ayesaa din bhi aa jaaye Sarkar kay dar pay baithay hooN Lab khamosh zabaN ban jaye ansu arzaaN kartay hooN aankhoN say ansu behtay hooN unn kay dar pay ronay walay dil say kuch tu bool Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul Sarwar-e-Alam piaray Aaqa jidher say guzra kartay thay Shajar gawahi daita tha aour pathar kalma paRhatay thay Noor-e-Khuda kay munkar abb to apni aankhaieN khool Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul Aawo chalo deewano saray sheher-e-Madina chaltay haiN Mairi kia ooqat hay sab hee inn kay dar say paltay haiN ghairoN ko bhi daitay haiN wooh bin mangay bin toul Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul Rashid naataiN likhna paRhna yeh hay baRa aizaz Unn kay karam say hee oonchi hay parwaz Naat-e-Nabi tu sunaye ja aour kanoN main rass ghool Aaqa aaqa bool banday aaqa aaqa bool Zikr-e-Nabi tu karta jay eh zikr baRa anmoul