|
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Jab Sa Bani Hai Dunya Lakhon Karoron Aye Baqi Raha na koi Matti main sab samayee mat bholna yaha per sab ka yahi hashar hai
Duniya Ke Ay Musafir
Ankhon sa tunay apni kitnay janazay dekhay ? Hathon sa tunay apnay dafnay kitnay murday ? Anjam sa tu apnay kyun itna ba khabar hai
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Makhmal main sonay walay maati main so rahay hain shah o gada yaha per sub ek ho rahay hay Dono hoye barabar yea mout ka asar hay
Duniya Ke Ayyyy Musafir
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
mati k potlay tujh ko mati main hay samana ek din yaha tu aya ek din yaha say jana rukna yaha per jari tera safar hay
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Tere Qabar Hai Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ya Safar hai
|