Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay Mairay nor-e-nazar so ja Haleema loree daiti hay Chamak chanda sey hay ziada mehak phooloN sey hay ziada Kashish soraj say hay ziada chamak tarooN sey hay ziada Damak tarooN say hay ziada Koi tujh sa kahaN dujaa Haleema loree daiti hay Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay Rukh-e-Anwar pay aaqa kay dil o jaaN sey fida ho kar Kabhi bosa lay hathoN par kabhi bosa lay chehray par Banaye takia banhooN ka Haleema loree daiti hay Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay Adab say pass bithla kar Haleema piar karti hay Galay say khoob chimta kar Haleema piar karti hay Mairay lakht-e-jigar so ja Haleema loree daiti hay Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay Amanat Amina ki hay Haleema loree daiti hay Wooh jiss kay hussan kay sadqay huwa aalam ujala tar Wooh mairay ghar ka rakhwala Haleema loree daiti hay Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay Hawazan kay qabeelay khush naseebi hay tairi wallah Huwa hay Amina ka laal tujh maiN jalwa gar soo naaN Zamanay bhar maiN hay shoohra Haleema loree daiti hay Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay FazaieN geet gati haiN hawaieN duff bajati haiN ZameeN ki musarataiN daikho khushi say gungunati hay Faza-e-dil pey hay naghma Haleema loree daiti hay Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay Haleema iss laal ki aisi hoi shaida Siwa uss kay zamanay maiN dikhaie kuch naheeN daita Ujagar choom kar chehra Haleema loree daiti hay Ujala tu mairay ghar ka Haleema loree daiti hay