|
Khuda ka ziker karay, zikr-e-mustafa na karay,
Hamaray moonh main woh aisi zubaan khuda na karay!
Dar-e-Rasool pe aisa kabhi nahi dekha, Koi sawaal karay aur woh ata a na karay!
Madina ja ke nikalna na shehar seh bahir, Khuda na khwasta yeh zindagi wafa na karay!
NABI ke qadmoun pe jis dum ghulam ka sir ho, Kaza a seh kehdo ke ik lamha bhi kaza a na karay!
Aseer jis ko bana kar rakhein madinay main, Tamaam umar rihayi ki woh dua a na karay!
Kaha KHUDA ne shifa at ki baat mehshar main, Pehal habib karay koi doosra na karay!
Shaoor-e-Naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeeb, Woh aadmi nahi jo innka haqq ada a na karay!
KHUDA ka zikar karay, zikr-e-Mustafa na karay, Hamare moonh main woh aisi zubaan khuda na karay..!
|