Maan tairay piar ka haq ham say ada kia ho ga MaaN mairi maaN Tu jo naraz ho khush ham say khuda kia ho ga Tu naiN oulad pay kia kuch qurban naheeN kia Apni neendaiN hamaiN deeN apna woh such chainn dia Loog kartay thay agar tujh say shikyat mairi Jaan par khail kay karti thi hifazat mairi Jab koi mujh ko sataye to bigaR jati thee Mairi khatir kabhi jhgRay pay utar jati thee Mairi sansooN meiN mojod hay khushbu ban kar Mairi ratooN maiN chamakti hay tu jugnu ban kar Taira dil tooR kay baitoN ka bhala kia ho ga Maan tairay piar ka haq ham say ada kia ho ga Yaad aati haiN abhi tak mujhay bataieN tairi Mairay roonay say chalak jati theeN aankhaiN tairi Tu mujhay rota howa daikh kay ro daiti thee Apna such chain mairay wastay khoo daiti thee Phir duaieN mujhay day day maiN sanwar jawoN ga Tu younhi rothi rahay gi to maiN mar jawoN ga Hoo ga ihsan galay baRh kay laga lay mujh ko Apni mamta bhari janat maiN chupa lay mujh ko Yahi ik rasta aour is kay siwa kia ho ga Maan tairay piar ka haq ham say ada kia ho ga Tairi Azmat ko kia baRh kay farishtoN naiN tawaaf Aour qadam meiN naiN uthaye tairi marzi kay khilaf Kitna badbakht hooN farman-e-Khuda bhool gia meiN jawaN hotay he Ihsan taira bhool gia janta hooN kay khata kar, gunah gar hooN maiN Tu khafa hay to museebat meiN gariftar hooN meiN Muaf kar day mujhay phir baRh kay sahara day dey Maan mairi dobti kashti ko kinara day dey Warna mujh jaisa gunah gar koi kia ho ga Maan tairay piar ka haq ham say ada kia ho ga Loog aouroN kay liay maaN ko bhula daity haiN Uss kay jazbat ko sooli pay chaRha daity haiN boRhay maaN baap kay jo kaam naheen aye ga apni oulad say woh iss ka sila paye ga yeh agar bichaRay to phir hath kahaN ayieN gey RehmatoN kay liay soghat kahaN paieN gey Haan abhi waqt hay maaN baap ki khidmat kar lo NaikiaN loot lo aour khushioN say daman bhar lo Jaye ga bas wohi janat maiN bhi jo maaN ka ho ga Maan tairay piar ka haq ham say ada kia ho ga Wasta Adam o Hawa ka tujhay daita hooN Wasta Shah-e-Madina ka tujhay daita hooN Wasta daita hooN Haydar ki shujaat ka tujhay Wasta Fatima Zahra ki ibadat ka tujhay Tu jo khush ho gi to khush hooN gey Hussain aour Hassan Warna weerana rahay ga mairay jeewan ka chaman Aye mairi maaN tu maira doodh naaN bakhshay gi agar Aag dozakh ki jalaye gi mujhay reh reh kar Baad marnay kay zara sooch maira kia ho ga Maan tairay piar ka haq ham say ada kia ho ga MaaN ka dil TooTay to aawaz Khuda tak pohanchay Yeh jo rowaye to farishtoN ko bhi rona ayaye MaaN kay dukh dard ko baiTa naaN agar samjhay ga Uss ko jannat meiN Khuda bhi naheeN janay da ga Mairay Aaqa naheeN daiN gey usay jam-e-kothar Raat din barsay gi Allah ki laanat uss par Chahay hafiz kay ho haji ya namazi alim Aisay baiToN say Khuda kaisay ho razi Alam Ju bhalaie naaN karay ga to bhala kia ho ga Maan tairay piar ka haq ham say ada kia ho ga MaaN mairi maaN