Main madinay chala mein Madinay chala
Phir karam ho gaya main Madinay chala
Kaif sa cha gaya main madinay chala
Jhoomta jhoomta main madinay chala
Mere Aaqa ka darr hoga paish e nazar
Chahiye aur kia main Madine chala.
Darkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga
Samanay ankhon kay jab gumbad e sabz ho ga
Gumbad e sabz par jab pare gi nazar
Kia suroor aega main Madinay chala
Jab gumbad e khazra pe woh, pehli nazar gayi
Ankhon kay rastay mere dil mein uttar gayi
Sabz gumbad ka noor zangh kar day ga dur
Paye ga dil jila main Madinay chala
Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi
Larkharaata hua main madinay chala
Mere Sidique Umar ho salam ap par
Or rehmat sada Main Madinay chala
Woh uhod ki zammen jis k ander makin
Mere hamza piya main Madinay chala
Unka ghum chasham e tarr aur sauz e jigar
Ab to day dai Khuda main Madinay chala
Saqia mai pila main madinay chala
Mast o bekhud bana main Madinay chala
Ae shajar a hajar tum bhi shams o qamar
Daikho daikho zarra main Madinay chala
Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe
Tum bhi daikho zarra main Madinay chala
Roh e muztar theher tu nikalna udher
Itni jaldi bhi kia main Madinay chala
Haath uth?tay rahain mujhko daitay rahain
Woh talab se siwa main Madinay chala
Noor e haq k Hazoor apnay saray kasoor
Bakhswanay chala main Madinay chala
Woh Bakee ki zamin jis k ander makin
Mere Madani Zia main Madinay chala
Un k minar par jab pare gi nazar
kia saroor aega main Madinay chala
Minbar e noor par jab uthay gi nazar
kia saroor aega main Madinay chala
Dard e ulfat milay zauq barhnay lagay
Jab chalay qaafila main Madinay chala
kia karega idher baandh rakht e safar
Chal obaid e raza main Madinay chala
kia yeh tu ne kaha a Ubaid e Raza
Soch to kuch zarra main Madinay chala
Main to bus yoon hi tha main ki aukaat kia
Qaafia yeh mila main Madinay chala
Lutf tou jab milay mujh se murshid kahain
Chal Obaid e Raza main Madinay chala
Main Madinay chala, Main Madinay chala