|
Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Bhikaari Wo Kay Jis Kay Paas Jholi Hai Na Piyaala Hai Bhikaari Wo Jisay Hirs-o-Hawas Nay Maar Dala Hai
Mata-e-Deen-o-Daanish Nafs Kay Haathon Say Lutwa Kar Sukoon-e-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhaint Chharwa Kar
Luta Kar Saari Poonji Ghaflat-o-Isyaan Ki Daldal Main Sahara Lenay Aya Hoon Teray Ka abay Kay Aanchal Main
Gunaaahon Ki Lipat Say Ka ainat-e-Qalb Afsurda Iraaday Muzmehal, Himmat Shikasta, Hauslay Murda
Kahan Say Laoon Taaqat Dil Ki Sachhi Tarjumani Ki Kay Is Jhanjaal Main Guzri Hain Ghariyan Zindagi Ki
Khulasa Yeh Kay Bas Jal Bhun Kay Apni Ru-Siyaahi Say Saraapa Faqr Ban Kar Apni Haalat Ki Tabaahi Say
Teray Darbaar Main Laya Hoon Apni Ab Zabun Hali Teri Chaukhat Kay Laaiq Har Amal Say Haath Hain Khaali
Yeh Tera Ghar Hai Teray Mehr Ka Darbaar Hai Maula Saraapa Noor Hai Aik Mohbat-e-Anwaar Hai Maula
Teri Chaukhat Kay Jo Aadab Hain Main Un Say Khaali Hoon Nahin Jis Ko Saliqa Maangnay Ka Wo Sawali Hoon
Zuban Gharq-e-Nadaamat Dil Ki Naaqas Tarjumani Par Khudaya Rehem Meri Is Zamanay Bay Zubani Par
Yeh Aankhain Khushk Hain Yaa Rab Inhain Rona Nahin Aata Sulagtay Daagh Hain Dil Main Jinhain Dhona Nahin Aata Hai
Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
|