|
Har zara jagmagaya hai kay noor wala aaya hai Har sue ujala chaya hai kay noor vala aya hain
Thi muntizar yeh dunya jis shah e wala ki Jinn o bashar nay gaya hai kay noor wala aaya hai
Thehri hui thein nudyan, jo aaj chal pari hain Barah Rabi ul awal ko noor wala aaya hai
Ghar ghar charaghan karlo, aamad hai aaqa ki Har dil nay khushi say gaya hai kay noor wala aaya hai
Yeh aaj khushiyon ka mosam hai arsh o farsh per Naray lagay hain aamad kay haan noor wala aaya hai
Taiba ka chand chamka jo rehber hai hum sub ka Aaqa ko hum nay paya hai, kay noor wala aaya hai
Kar khush sukhan ali ko aie Rab e Zuljilal Jis nay lagaya nara hai kay noor wala aaya hai
|